Saturday, 29 December 2018

Singer Subir Sen interview Part 2



Is clip mein Subir Sen Salil Chowdhury aur Shankar Jaikishan ke beech ek doosre ke prati samman ke bhaav ki baat kar rahe hain
Unke anusaar
Shankar Jaikishan ke baare mein main padh rahaa thaa ki Salil Chowdhury jaise sangeetkar Shankar Jaikishan ke yahaan aksar jaayaa karte the. Maine Salil Chowdhury se poochhaa ki, "Salil daa aap wahaan jaate the ? to Salil daa ne kahaa "aise sangeetkar jinhone dhaai hazaar gaane (badhti umra ke naate unki smriti yahaan confused ho gayi kyon ki SJ ne utne gaane nahin banaaye) wah bhi minor notes mein soch sakte ho ? aur sabhi hits.....Raag Todi mein chhota sa parivartan kar ke unhone geet banaayaa Duniya Na bhaaye mujhko bulaa le.........itna hit huaa. Rickshe waale ko sunaa apne andaaz mein yah geet gaa rahaa thaa........Aise hote hain music director."
Shankar Jaikishan bhi Salil daa ki beshumaar izzat karte the, wah kahte the ki "ye apne sangeet mein jo notes banaate hain, wah India mein koi soch naheen paayega"
wah aage kahe hain ki 26 varsh ki umra mein Mumbai gayaa to Shankar Jaikishan ka saath mila..........



No comments:

Post a Comment